Hey Friends...
Toh aaj ki iss video mein hum dekhenge ki 'response' mein kaunse kaunse tarike h jisse hum kuch data client/front ko bhej sakte h... ( data matlab ki kuch text ya html data )
.
.
.
send() function - ye aapko help karta h kuch chota sa data dikhane / bhejne mein jaise ki hume 'Invalid API' Ya 'Some Error Occurred Dikhane Mein' bhejna ho toh ye recommend h...
sendFile() function - ye aapko html files wagera bhejne agar aapne kabhi php pe kaam kiya ho toh aapko ye bahut aasani se samjh aayega jaise hum php server pe html extension ke saath file serve karte h waise hi isko bhi hum serve karte h agar aapne php pe kaam nhi kiya h toh aap ye samjho ki ye aise file serve karta h jaise file:// se shuru hone waala url kaam karta h bass isme farak ye h ki ye ek http:// pe chalta h toh kuch cheeze jo browser file:// pe allow nhi karta aur http:// pe karta h vo aap isse cheeze istemaal kar sakte ho
json() function - ye ek javascript object leta h aur json format mein data client ko bhejta h isko hum API se data bhejne ke liye recommend kiya jaata h jaise aapne dekha hoga ki koi API link mein JSON data aata waise hi aap bhi authentication wagera karke JSON data bhej sakte ho
render() function - ye aap EJS ya HBS mein use karte ho matlab ki templating engine ke liye use karte ho... agar aapko ye samjh nhi aaya toh main aapko ye kahunga ki aap abhi html wagera pe kaam karo aur dheere dheere ye sab ke baare mein search karo jaise hi confusion khatam ho ispe kaam karna start kardo kyuki aane waale time mein aapko agar koi company mein kaam karna pada toh aapko sendFile waala nhi ye render use karke website banani padegi...